Surah Yaseen Ka Mukhtasir Ta’aruf
Surah Yaseen Quran ki ek behtareen Surah hai jo Makki hai aur ismein 5 Ruku aur 83 Ayatain hain. Surah Yaseen ko “Quran ka Dil” kaha gaya hai. Iski fazilat bohot zyada hai aur iski tilawat karne se kai faide hasil hote hain. Rivayat ke mutabiq, marne walon ke paas is Surah ko parhne ki hidayat di gayi hai, taake unko Islami aqeedat yaad rahe. Surah Yaseen ki rozana tilawat se rozi mein barkat, gunahon ki maafi, roohani aur jismani bimariyon se shifa milti hai. Yeh Surah insan ki zindagi mein kai mushkilat ko door karne mein madadgar hoti hai.
Surah Yaseen Ki Fazilat Qur’an Mein
Bohat si rivayat mein aata hai is surat ko apne marne walon ke paas parho. Marne walon ke paas parhne ki isliye hidayat farmayi ki marne wale par tamam Islami aqeedah tazah ho jaye.
Musnad Darimi se rivayat hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jise ne subah Surah Yaseen ki tilawat ki uske sare kaam poore ho jayenge. (Yeh hadith zaeef hai sanad ke hisaab se) par is amal ko karne mein koi harj nahi hai.
Surah Yaseen ki rozana tilawat karne se insaan ki roohani aur jismani bimariyon se shifa milti hai.
Surah Yaseen ko parhkar apni gunahon ki maafi maangne se Allah ki maghfirat bhi mil sakti hai.
Surah Yaseen ki tilawat karne se shaitan mardood se nijaat milti hai.
Surah Yaseen Ki Ayat Aur Unka Matlab
Aise hi baqi koi bhi surah jaise Surah Falaq, Surah Mulk inki agar fazilat aur inke bare mein janna ho to Islami Jankari mein jaakar dekh sakte hain.
Surah Yaseen Ke Baare Mein Kuch Ahem Sawaalaat
Surah Yaseen ke faide kya hain? Surah Yaseen parhne se gunahon ki maafi hoti hai aur tauba qubool hoti hai.
Surah Yaseen tilawat se bimar ko shifa milti hai. Isko parhne se rozgaar aur rizq mein barkat hoti hai.
Agar aap roz Surah Yaseen parhein to kya hota hai? Surah Yaseen parhne se shaitan mardood se nijaat milti hai. Is surat ko apne marne walon par parhne se unki maghfirat hoti hai aur unke Islami aqeed tazah ho jaye.
Shadi ke liye Surah Yaseen ke kya fayde hain? Hadithon aur sunnat se humein aise kuch bhi nahi milta. Barhal ise rojana parhna chahiye ye bahut behtarin surah hai .
Kaunsi Surah kamyabi ke liye hai? Surah Al-Baqara ke aakhri do ayat parhne se duniyaavi kamiyabi bhi milti hai aur aakhirat mein nijaat bhi milti hai. Aur sabse ahem hai allah tala se dua kyunki dena wo hai to hame usise mangni chahiye.
Kaunsi Surah chehre par noor ke liye hai? Islam mein koi bhi surah khaas khoobsurti ke liye nahi parhi jaati. Khoobsurti ke liye namaz, wuzu, Quran ki tilawat, jhoot, burai aur gheebat se bache to Allah ki rehmat se chehre ki nahi jismani aur roohani khoobsurti bhi barh jaati hai.
Yaseen ka wazifa kya hai? Surah Yaseen ko Quran ka dil kaha jata hai. To isliye kaha ja sakta hai ki surah yaseen bohot behtarin surah hai qurane qarim ki.
Surah Yaseen Quran ki ek behtareen Surah hai jo hamesha rooh ko tasalli deti hai. Islamic Jankari ke zariye, humne is Surah ki ahmiyat aur fazilat ko samjha hai. Surah Yaseen ki rozana tilawat se rozi mein barkat, gunahon ki maafi, aur bimariyon se shifa milti hai. Marne walon ke paas is Surah ko parhne se unhe Islami aqeedat yaad aati hai. Yeh Surah insan ki zindagi mein kai mushkilat ko door karne mein madadgar hoti hai. Isliye, is Surah ko apni rozana zindagi ka hissa banaye aur Allah ki rahmat aur hifazat hasil karein.